Resp.Sathiyo,
Ravivar dt.-30/11/14 ko BBSKSS social organization ki Maharashtra state leval ki sabha Jijau sabhagruh Washim me sampanna hui hai.
Is sabha me national tatha state ke padadhikari badi tadat me upsthit the.
Ma.Mohan Chavhan ne supreme court ke case ke bare me puri jankari di.
Ma.Govind Rathod ne social organization hi samaj ko direction de sakati hai yah mahatvapurn bat batai.
Ma.Ashok Rathod ne Sanghatan ke karyakarata Sanghatan ke sath puri naitikata ke sath bartav karna chahiye yah bole.
Ma.Ambersing Chavhan ne Sanghatan ki takat usake members ke sankhyapar aadharit hoti hai yah bat batakar membership ke liye padadhikari ko target lene ke liye bole usake mutabik alag alag zilhe se aaye huye sabhi padadhikari ne membership ka target liya.
Is sabha me kuch mahatvapurn nirnay sabhi ke sahmati se liye gaye hai.
Us nirnay ko follow karna yah hamare padadhikari ki naitik jimmedari hai.
1) sanghatan ki membership karna,
2) 15 janevari tak membership ka target pura karna,
3) taluka comitee gathit karna,
4) district/taluka ke sabhi karykarta ke liye training camp ka aayojan karna,
5) district/taluka comiti ka account kholkar membership ya donation account me jama karna,
6) 15 februvari ko har district comiteedvara, sevabhaya jayanti Manana aur Banjara samaj ke logo me samajik, shaikxanik, sanscrutik, ekata nirman ke liye jagruti nirman karna.(keval Bhandara nahi.)
15 februvari 2015 tak Maharashtra ke sabhi employee ko pay back to society yah bat batakar social moment ke liye tayar karna hai.
Ma.Ambersing Chavhan
General Secretary(MS)
Enhone bataya hai ki kal ke MAT ke nirnay par jaldahi meeting lekar nyayik ladha ubharkar nyay milaya jayega.
—Anil Rathod
Sachiv-konkan vibhag.
Very good Anilji , appeal to all officers & employees of all sectors to join Bharatiy Banjara samaj karmachari seva sanstha to build community for socio economic education & cultural development & to build nation